How to Make Delicious Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen

Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen.

Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen You can cook Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen using 15 ingredients and 16 steps. Here is how you cook it.

Ingredients of Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen

  1. Prepare 2 cups of flour.
  2. You need 2 cups of sugar(grind).
  3. Prepare 1/2 cup of cocoa powder.
  4. You need 1/2 cup of oil.
  5. Prepare 2 of eggs.
  6. Prepare 1 tsp of vanila/chocolate essence.
  7. It's 1 of & 1/2 tsp baking powder.
  8. You need 1 of &1/2 tsp baking soda.
  9. It's 1 cup of hot water.
  10. Prepare of Chocolate sauce recpie.
  11. Prepare 2 tbsp of cocoa powder.
  12. Prepare 4 tbsp of sugar.
  13. It's 1 tbsp of oil/butter.
  14. It's 1 tsp of flour.
  15. Prepare 1 cup of milk.

Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen step by step

  1. Sb se pehle ek bowl me maida,baking powder or soda,sugar ko hand beater se achay se mix krlein or side par rakh dein.
  2. Phir utni der me cake mold ko oil se grease krlein or uss ke opper paper apply krein butter paper ki zroorat nai ha ap simple paper use krsktay hain phir paper ke opper b oil achay se grease krlein..ye oil apne extra nai lena joh half cup cake mein daalna ha ussi mein se lena ha.
  3. Phir dry ingredients mein oil,eggs,essence daalain kar achay se mix krlein spoon se wo aik thick material ready hoga.
  4. Ab aik bowl lein uss mein hot water,cocoa powder add krein or hand beater se mix krlein or cake ke material me daal deinor hand beater se achy se mix krlein bohot achay se mix kar na ha phir hi cake acha bhanay ga.
  5. Ye better itna thick b nai hoga normal paste type hoga to ab ready ha isko mold me daalain.
  6. Or pateelay mein bake krne ke lie aik bhara size ka pateela ya dejka lein us mein namak daalain ziyadda ni daalna bs thora thora or us par koi stand rakh kar 10 mins ke lie preheat krlein namak means salt esi lie add kia ha us se cake hamara jalay ga naii.
  7. Phir mold ko pateelay mein rakh dein or 40-45 mins ke lie bake krein low to medium flame par.
  8. TIP: jab cake bake hora ho to baar baar dhakan na kholain es se cake joh ha rise nai hota to esi lie pooray tym par check krein.
  9. After 40-45 mins knife se check krein ke cake bake hogya ha agar better knife ke saath nai lgta es ka mtlb cake blkul ready ha agar lg raha ha to 5 mins or bake krlein.
  10. Cake ko mold se nilalain or room temprature par aanay dein.
  11. Phir cake ko 2 parts me divide krdein.
  12. Ab chocolate sauce ready krne ke lie ek sauce pan me flour,sugar,cocoa powder add krein or achay se mix krlein or phir milk,oil add krein phir flame on kar ke 6-7 mins tak pkaaye kar saath saath hand beater se mix krte jaayen or phir jab aik ubaal aaje to flame off krdein apne sauce ziyada thick nai krni agar ziyda thick krdi to wo thndi hokar or ziyada thick hojaaye gea.
  13. Phir cake ke 1 sponge par sauce apply krei or opper 2osra sponge rkhein uspr b sauce lgayen or cake ko fridge mein rakh dein 3-4 hours ke lie thanda krne ke lie jitna thanda cake hoga utna acha lgay ga.
  14. Phir jab cake thanda hojaye us par cocoa powder dust krdein es se taste bohot acha aata ha.
  15. Toh tyaar ha zbrdast sa cake asaani se bnaayen or enjoy krein thaquuu👌.
  16. Agr apko recpie ki samjh nai aaye to ap mere youtube channel ka visit kr sakte hain mei ne uss pr complete video lagai hoey ha...mere channel ka name Rida's kitchen hai or same yahi profile lagi hoey hai🙂.

How to Make Delicious Softest Chocolate fudge cake|eid special|by rida's kitchen How to Make Delicious Softest Chocolate fudge cake|eid special|by
rida's kitchen Reviewed by subindo drakor gratis on April 04, 2021 Rating: 5

Tiada ulasan:

Dikuasakan oleh Blogger.